Paheli
[Hook]
Tere-mere raaste ho chuke alag
Tujhe jaana tha toh itna mera kyu gavaya waqt?
Paheli teri pooche
Tu chup toh teri aankhon se hum puchche. (×2)
[Verse 1: GRAVITY]
Jaane-jaana mera na thikana, ek purana mera kaafila tha
Par hum ghul-mil gaye kaafi zyada, uss din se dil likhe maafi-naama
Galti thhi meri hamesha se kehri thhi gehri na meri hai neev
Jabki mai laata na kabhi ateet, hamesha tere liya tha aziz....
Beech mein kahi se aajati baatein toh ho jaati anban
Badal gaye rang, ab na rahe sang toh reh gaye hum dang, khatam hai bandhan
Humdum, shayad hai khushiyan kam ab
Achanak aakhein bhi nam-nam
Udaasi lagti hai samdhan
Har pal, badalte karwat
Kasam se har waqt, ek hi khayaal aata mann mein
Itna na zaruri bana ho tu ki meri saasein bhi lag jaaye thamne
[Hook]
Tere-mere raaste ho chuke alag
Tujhe jaana tha toh itna mera kyu gavaya waqt?
Paheli teri pooche
Tu chup toh teri aankhon se hum puchche. (×2)
[Verse 2: GRAVITY]
Tu woh khwab jo na ho paaya hai sach
Meri aakhon ke darwaze tere liye ho gaye band
Aise kyu hona tha?
Mai toh chahta tere rang
Kalakaari tu, khumari tu
Kaha hai mera sab?
Hogayi ghatna, mile thhe tan
Aur ab achanak tere na hum
Bhul nahi sakta kitna chaahta mai tujhko mere sanam
Ab na waqt ki hai fikar, kho gaya hai mera sab
Fir bhi khudse kahu jhooth tab toh gaata hai yeh mann....
[Hook]
Tere-mere raaste ho chuke alag
Tujhe jaana tha toh itna mera kyu gavaya waqt?
Paheli teri pooche
Tu chup toh teri aankhon se hum puchche. (×2)