Mohre [Extended]
Yaha par aakh bhi ladai toh fir aag si ladai,
Jala kar raakh karte woh ban jayenge harjayee.
Aaj andhere mai hai hone waali saari yeh tabahi.
Din mai hum uthaye laashein, mar chuki hai begunahi.
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre.
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre.
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre.
Khaule, khaule, fir kyu na khoon yeh khaule?
Mohre, mohre, yeh ban chuke mohre,
Hai kitne na jaane sahe dil ke daure.
Yeh jeete jaagte bas maange hai mohre.
Jaha dikhta paisa, waha ko hi daude yeh.
Kaise aise kaise karte sawaal?
Yeh karte gunaah, fir karte gumrah.
Mudte-mudte sidhe na jaa saka,
Udte-udte niche aa na saka.
Tujhe paise ki talaash hai,
Tujhe poore karne khwab hai.
Mutthi mai karni hai duniya,
Par tere raaste na saaf hai.
Mohra banne ki hi aas hai.
Yehi tera itihaas hai.
Kisse tu karta fariyad hai?
Tera na koi bhagwan hai.
Tera na koi wajood hai,
Tere na koi haalat hai.
Mohro se bandha samaj hai toh,
Tu uska bhadda mazaak hai.
Zinda kyu rehta hai aise jab,
Khudpe na ab tujhko naaz hai.
Raaz hai, raaz hai, mera bhi aisa jo mai hu chhupata,
Mai khud hu ek mohra par tujhe sunata.
Hai mere jaise kaafi rehte yaha pe,
Aata na kuch, kaafi kehte yaha pe.
Sone ke mohro ki kya hai zaroorat?
Mujhe zaroorat hai chain ki neend ki.
Fir bhi chahu mujhe mil jaaye paisa,
Neeyat meri toh hai banjar zameen si.
Mohre, mohre, apne aap ko kho rahe,
Khudki aatma tode, apne daag na dho rahe.
Apni jaan marode, iss saatve ghode par hai suraj ke saamne hum raakh hai ho rahe.
Jeete jaagte saare marte yaha par,
Kho chuke khudko ab dhundhe kaha par?
Kaise soye hai yeh kuch bhi na paakar?
Kholo aakhein, bhaago kyuki,
Yaha par aakh bhi ladai toh fir aag si ladai,
Jala kar raakh karte woh ban jayenge harjayee.
Aaj andhere mai hai hone waali saari yeh tabahi.
Din mai hum uthaye laashein, mar chuki hai begunahi.
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre.
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre.
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre.
Khaule, khaule, fir kyu na khoon yeh khaule?
Mohre, ban chuke saare yeh mohre! (×2)
Karna na chahe baatein, saare zinda laashein hai yeh,
Kathputli bin dhaago ke hai chalte saare.
Maine mann ke andar dhundhe jab khazaane,
Nikla bas jhooth, ghulami ke kaabil hi reh chuke saare hai.
Kaale jaadu ko ab mann mai hai paale yeh.
Mohra mai, mohra mai, mohra tu, mohro pe mohar lagi hai naadani ki,
Galti hamari, hum karte ghulami, sar-aakhon hai rakhte yeh baatein madaari ki.
Naachein ishaaro pe, itne hai saal guzare iss bandhan mai.
Ginti khatam hui meri sitaaron ki.
Kitne hazaaron mai hoge inn sapno ki laashein,
Jalaade, par kaise, na koi aulad jo chita jalade.
Kuch ko toh zinda hi gaadhe, par tujhko na fark padega?
Kahega ki maine bhi di hai sapno ki kurbaani,
Par aaj aaram haram aur paisa aur gaadi,
Aur jebein na khali, aur ladkiyan saari,
Hai meri deewani. Kaise ayega tu pul ke iss paar?
Aiyashi ke sheeshe mai khudko ubhaarkar,
Aatma kho di tune sab kuch hai paakar.
Kholo aakhe, bhaago, kyuki,
Yaha par aakh bhi ladai toh fir aag si ladai,
Jala kar raakh karte woh ban jayenge harjayee.
Aaj andhere mai hai hone waali saari yeh tabahi.
Din mai hum uthaye laashein, mar chuki hai begunahi.
Yeah! Maine toh zindagi meri udaayi, yeh paisa hai meri tabahi,
Iss paise ne meri hai neende udaayi, barabar ki meri gunaahi.
Paisa mai, paisa mai, paisa mai, paisa,
Faansi ke suli ke jaisa, khudko latkana ya khudko bachana?
Hai logon ka khoon ab noton par behta.
Dost na bhai, hai saare kasai, yeh mohre shatranj ke, dete duhaai.
Koste sabko, yeh khudke parchchai se darte, kaise karenge bharpai?
Ha, mera na mol hai, par mere naam pe chalta bhugol hai.
Par tera daam jo woh tera shor hai, asal mai aaj bhi mera hi zor hai.
Ay, sukhe inn aakhon mai dekh, sapno ka martam hai re.
Sab ghaatak hai re, ungli uthaane par aatank hai re!
Sab paiso pe pagal hai re!
Toh ginkar ab tol mujhe, kalaai ko kaatkar, khoon mai ghol mujhe.
Mai pyaasa, toh izzat se mod mujhe. Sannaton ka kaidi, tu khol mujhe!
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre.
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre.
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre.
Khaule, khaule, fir kyu na khoon yeh khaule?