Why

Talha Anjum, Talhah Yunus

[Verse 1: Talha Anjum]
Teri mehfilon me hum na honge
Lagegi thokre, zakham na honge
Suna toh de tujhe ab haal-e-dil ye
Baantke bhi gham toh kam na honge
Toh likhne do mujhe ab hijr ki unn duriyon pe
Kya tum padhoge marsiye meri majbooriyon ke
Ye jalte diye rahe gawah uss afsuradagi ke
Iske sirahane kitne jaam maine piye honge
Diye dard tune, waise dard hi nahi hai
Cold world, ye duniya mujhse jalti rahi hai
Par iss kalam ko nahi zawal ye toh chalti rahi hai
Karti hai kamaal, ye bhi likhti hai sawaal tumse

[Chorus: Talha Anjum]
Why do you do this to me?
Why you (Why you)
I know tum meri nahi
I do (I do)

Why do you do this to me?
Why you (Why you)
I know tum mеri nahi
I know tum meri nahi

[Verse 2: Talhah Yunus]
Lamhe thehrе hue jaane na de
Ghadi udaas lage, pyaas wo bujhaane na de
Lahu itna garam ke ye kaagaz ab bahane na de
Wohi fool kaante, jab jaage tum sirahne na the
Dhoondhte thikaane ye awaaj meri goonjti
Sawaal kare tujhse kyun ab haal bhi nahi puchti
Ho chuke behaal toh wo mere baare sochti
Kalam kamaan, inn lafzo ko kaise rokti
Zulfon me uljhe, teri shaayari kya khaak kare
Munh pe anjaan bane, fursat me yaad kare
Zakham ye taaje, maslahat yahi na baat kare
Aaj bhi log inn lafzo ke mohtaaj rahe
Kya likhun ab inn faaslo pe
Shayad hi kabhi milenge phir unn raasto pe
Bhatke musafir jee rahe hai tere aasro pe
Karoge tum bhi yaad jab bhi saans loge

[Chorus: Talha Anjum]
Why do you do this to me?
Why you (Why you)
I know tum meri nahi
I do (I do)

Why do you do this to me?
Why you (Why you)
I know tum meri nahi
I know tum meri nahi

[Verse 3: Talha Anjum]
Abhi farmaan aayan hai wahan se
Ke hatt jaaun main apne darmiyan se
Samajh me zindagi aayein kahan se
Padhi hai ye ibaarat darmiyan se
Zamana tha wo dil ki zindagi ka
Teri furqat ke din laaun kahan se
Fala'n se thi ghazal behtar fala'n ki
Fala'n ke zakham acche the fala'n se
Jala do khat mere, wo shaayariyan raakh karo
Fursat na thi tumhe, ab furqat me yaad karo
Goonje har taraf ab meri hi khamosiyan
Tum dheeme lehzo me ab bin kahe koi baat karo
Jab ho sake tumse tum kar dete sab faramosh
Ye dil samandar, ispe maujo ka bada bojh
Mai ruposh, ye industry nahi meri dost
Na mujhe uska nasha, na use mere hosh

[Chorus: Talha Anjum]
Why do you do this to me?
Why you (Why you)
I know tum meri nahi
I do (I do)

Why do you do this to me?
Why you (Why you)
I know tum meri nahi
I know tum meri nahi

Curiosidades sobre a música Why de Young Stunners

Quando a música “Why” foi lançada por Young Stunners?
A música Why foi lançada em 2020, no álbum “A Tale Of Two Talhas”.
De quem é a composição da música “Why” de Young Stunners?
A música “Why” de Young Stunners foi composta por Talha Anjum, Talhah Yunus.

Músicas mais populares de Young Stunners

Outros artistas de Asiatic music