Ek Din Fursat Mein
ek din fursat mein thaamein haath hamare
le gayi uss dagar pe jahaan rehti hai bahaaren
chal diya ham bhi ghar se ham ke kuchh befikar se
dil tha apne bharose ham the dil ke sahaare
ek din fursat mein thaamein haath hamare
le gayi uss dagar pe jahaan rehti hai bahaaren
raah mein mod aaya roshani ho gayi kam - 2
kuchh dil ghabraya ke kahaan aa gaye ham
aage uss mod ke bhi toh bahaaren nahi thi - 2
bhule kuchh khwaahishen aur khwaab the badhawaaz
ek din fursat mein thaamein haath hamare
le gayi uss dagar pe jahaan rehti hai bahaaren
bewajah lag rahi thi jab talaash hamari - 2
ek khushboo uthi aur rutt badal gayi saari
saamne toh khade the faila ke baahen - 2
jaise har dard mera khud mein roke samaaye
dil bada mukhtasar tha tere seene pe sar tha
yun laga marr na jaaye itni khushiyon ke maare