Dost Bura

Saad Khan

[Verse 1]
Makafat e amal nai bas mujhko milay dhokay
Jinko mana tha apna kesa laga unko kho k
Maukay dhoonden wo ab mujhe giraane k
Giraane de na ab koi asar chahay ho lo kitne aukhay

Aukhay saukhay lamhe phir b hum na rukte dekho
Hum tumse aagay hein toh na tum peechay murhke dekho
Jurhke dekho kabhi kisi apne jese se
Tum jaanoge phir humne b guzaare lamhe kese kese

Jese tese krke phir b main tha jee raha
Na marham dene wala koi main khud k zakham see raha
Pee raha wo karhway ghoont jo tumne pilae
Unmein jhoot k kafi ghoont bhi tumne milae

Khair

Saampon ko doodh diya ab wohi sab dassne ko parhte
Wo tujhpe hastay Saad chorh unko hassne do larkay
Wo tujhko parh gaye ye toh unki ghalatfehmi hai
Wo aana chahte par ab de tu unko bas jaane k rastay

Tu koi mazaq nai jo jab chahay tujhe rol de
Tu jaane inmein farq, ye tere hi toh bol thay
Tu bol de ab dil mein jo tu inke jesa nai hai na
Ye khush rehte hein jhoot mein tu sach mein dukhi sai hai na

Sahi hai phir, tu b banja thora khudparast
Unki fikar kesi jinko tujhse nai hai kuch garaz
Kya tu charas? tujhko jalana inki khaahish ae
Na tu baras, inpe zaya mat kar apni barishen

Na tu garaj, inko samjhaane se kuch hasil nai
In loagon se koi seedhay loag toh hotay mutaasir nahi
Zahir nahi, inki hakeekat sab mein zahir nahi
Main chahta nahi bura inka par inko Khuda hafiz sahi

[Chorus]
Boj jo tala inka, wo mujhpe roz murha
Soch k chala jinka diya peet mein khob chhura
Niyat sawaab ki par bana wo afsos gunah
Soch k bhala inka, bana main dost bura

Músicas mais populares de Saad Khan

Outros artistas de