Kaise Haseen Aaz

kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai
ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath

o dene waale toone to koi kamee na kee
ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai

chhaaya hai husn-o-ishq pe ek rang-e-bekhudi (2)
aate hai zindagi mein yeh aalam kabhi kabhi
har ghum ko bhool jaao khushi ki baaraat hai
ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath

aayi hai woh bahaar ke naghme ubal pade
aisi khushi mili hai ke aansoo nikal pade
hothon pe hai duwaayeh magar dil pe haath hai
ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai

masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi (2)

meri khushi bhi aap ke daaman mein aa gayi
bhavra kali se door nahin saath saath hai
ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai

kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai
ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath

Músicas mais populares de Mohammed Rafi

Outros artistas de Religious