Aye Gulbadan, Aye Gulbadan
Aye gulbadan, aye gulbadan
Phoolon ki mehak kaanton ki chubhan
Tujhe dekh ke kehta hai mera man
Kahin aaj kisise mohabbat na ho jaaye
Kya haseen mod par aa gayi zindgani
Ki haqeeqat na ban jaaye meri kahani
Jab aahen bhare ye thandi pawan
Seene mein sulag uthti hai agan
Tujhe dekhke kehta hai mera man
Kahin aaj kisise mohabbat na ho jaaye
Kya ajeeb rang mein saj rahi hai khudaai
Ki har cheez malik ne hai sundar banai
Nadiyon ka chamakta hai darpan
Mukhda dekhe sapno ki dulhan
Tujhe dekhke kehta hai mera man
Kahin aaj kisise mohabbat na ho jaaye
Maein tumhi se yoon aankhen milata chala hoon
Ki tumhi ko maein tumse churaata chala hoon
Mat poochho mera dewaanapan
Aakash se oonchi dil ki udan
Tujhe dekhke kehta hai mera man
Kahin aaj kisise mohabbat na ho jaaye
Apni aankhon mein basaa kar