Paseena
Paseena.
Hum toh aasmaan ko chuumein
Jo kehna chaahte tujhko keh dete muu pe
Ha karke hi dikha dete hai jo bhi mann mein suuje
Gaane phat te speakero pe kaan tere suuje
Garam tarane humm parose swaad jaise ramsay
Taane tu maare main na sunnta, aaya taansen
Seedha malhar jo main chaalu hua tu paseena
Kar intezaar iss saal mein seedha main phatunga
Kalam ka ye nateeja
Lagan ka ye nateeja
Tarrakki dekhke kalaa mein ha teri phati na?
Lagaam maine kheecha
Ye hai mera tareeka
Jo dinn hai gaane mere aate, yaad rakh tareeq ha
Yeye
Aasmaan pe raaj saat rang ka mera dhanush
Dharti se door aakashvani dhunn toh sunn
Murti ye khoob shabdkar dwaara saamne jhuk
Nayi sadi ka ved vyaas toh rahe kyu chup?
Hai kyu dukh? Jab jebon main kalaa hai bhar bhar ke
Kaayeka sukh? wo toh hai milta saala bas dhann se
Safaai banaa ke rakhi naam chehra sab safed
Dhanda kalai pakde? kar kalaa ke haath gande
Sab Mera
Sab pe likha hai naam sab mera sab mera
Meri aankhein jispe bhi padi mera
Meri aamkhein jispe padi mera
Sab Mera
Sab Mera
Sab pe likha hai naam sab mera sab mera
Meri aankhein jispe bhi padi mera
Meri aamkhein jispe padi mera
Sab Mera
Sab mujhe chahiye
Na parvah galat hai ya sahi hai
Main leke rahunga
Jo bhi mujhko bhaee hai
Ye milke rahega
Jo saath mere bhai hai
Shakal se alag
Par andar se wohi hai
Hum laalach se chalte hai
Laalach se marte hai
Laalach laachari par hum kab na adte hai
Laalach ye kaam ka
Laalach aaram ka
Laalach ye naam ka
Laalach aavaam ka
Meri avaam kyuki mera hai raaj ab
Jab tak ye awaaz, kalam saath hai kaagaz
Toh karna aisa kabhi bhi anaadar
Ye sunnle tu baat meri baat brahmaastar.
Meri baat brahmasastar.