Baago Mein Bahar Hain

rafi : achha to ye baat hai
tum bhi sun lo
jo jo sawal main puchhu unka sach-sach jawab dena
hah
lata: haah
rafi : achaa, to baagon mein bahaar hai
lata : kya
rafi : main ne pocha baagon mein bahaar hai?
lata: haan hai
rafi : kaliyon pe nikhaar hai?
lata: haan hai
rafi: to, to tumko mujhase pyaar hai
lata: na na na, na na na, na na na, na na na

rafi : o.. baagon mein bahaar hai
lata: hai
rafi : kaliyon pe nikhaar hai
lata: hai
rafi : o.. tumko mujhase pyar hai
lata : na na na, na na na, na na na, na na na
rafi : o.. baagon mein bahaar hai

lata : chhodo hato, jaao pakdo na bainyya
aaun na main tere baaton mein sainyya
rafi : tumne kaha hai dekho, dekho mujhe sainyya
bolo tumko iqaraar hai
lata : hai
rafi : phir bhi inkaar hai
lata: haan hai
rafi : o.. tumko mujhase pyaar hai
lata: na na na, na na na, nahi nahi nahi nahi
rafi : o.. baagon mein bahaar hai

rafi : tumne kaha tha main sau duhkh sahungi
chupke piya tere mann mein rahungi
lata : woh sab kahungi lekin vo na kahungi
tumko jiska intezaar hai
lata : hai
rafi: phir bhi takraar hai
lata : hai
o.. tumko mujhase pyaar hai
lata: na na, na na na, na na na, na na na
rafi : o baagon mein bahaar hai

lata :achha chalo, chhedo aage kahani
hoti hai kya bolo pyaar ki nishaani
rafi : bechain rehati hai prem deewani
bolo kya dil beqaraar hai
lata: hai
rafi : mujhape aitbaar hai
lata: hai
rafi : jeena dushavaar hai
lata : hai, hai
rafi : aaj somavaar hai
lata : are baba, hai
rafi : tumko mujhase pyaar hai
lata : hai
na na na na na

Músicas mais populares de Lata Mangeshkar

Outros artistas de Film score