Upar Hi Upar
Jo Pehle jeete the parchhaiyon mein,
Tik-tik gaye ye khel aur kaliyon mein,
Gehri soch jaise pale bade khaiyon mein,
taaqat ka kyaa matlab kabhi poochhna sipaahiyon se!
Kaise faisle?
Waise sahi se rehte!
Jaise Fisle!
Dekhe toh kahi bhi nai the,
Matlab kyu dhoondu rishton mein jo khaali matlab ke the?
Palkon pe rakha unko jo kyu bas yaha Pal bhar ke the!
Mila ladka poochha ki mila naam kyu?
Ghadi ka tera daam kya? Socha usse inaam du,
Kaha ki haath rakhna gande aur ye neeyat saaf,
Jo bhi tere sapne tu chhenle yaa hakk se maang!
Avval khel ke, hum hai naye khiladi,
Par kabhi ghutno pe nai aata chaahe gaa du qawaali!
Tune toh mauke bhi khaali ye, kiya chhed ye thaali mein,
Ab tu bane teesra pahiya meri chalti hui gaadi mein,
Rehte daud.
Thakk gaye bannke bechaare, tumne chhode nai chaare aur,
Naya waqt, nayi soch laaya naya daur,
Channel karu inner HOV, man I'm so appalled,
Kismat ne jo patte feke, jeete sab we never fold,
Back against the wall, wrecking ball wo deewaaron pe,
Jalna tera kaam, tu jalaana chhod sitaaro pe,
Shaayad jeet aisi ki chhapega na akhbaaron mein chhaap lenge dil mein aisi jagah ki naa haaroge!
Ab dete toast, wine and dine, refined diamonds,
verse in versatility, violins in violence,
Chalana poora game, Aur Na chaiye humein license,
Ye ladke karte baatein, par kaafi humaara silence.