Mere Mehram
Mera al-Hafiz tu,
Meri tu panaah,
Zarre-zarre mein tu,
Aisa hai noor tera
Hai shagufta,
Tujh se gulistaan,
Mera rasta,
Tujhse wabstaan,
Teri raahon mein,
Aa ke mujh ko mili,
Jaise behshat koi,
Sehra, sehra
Sehra sehra,
Tha bhatakta,
Abr-e-Rehmat, ko tarasta main,
Tere darr pe aa ke,
Aise baadal laage,
Teri deewangi mein, bheega bheega
Tujh se boloon kya nabi, tu hai sabhi jaane,
Dard-e-Rooh pehchane,
Saari duniya se juda,
Rutba hai yun tera,
Hai sab ko faiz milta, darr tere aa ke,
Deed-e-Ilahi se, zakhm bhar jaate
Har sabaah ka,
Shams tera,
Mausam-e-shab,
Ka ujala tu
Mere Mehram, hai raha tu, saath mein jis ke,
Phir kahaan ki zindagi mein, ashq-o-gham thehrein
Tu Muhafiz
Tu Muhafiz-e-Jahaan,
Tujh se har shay ko panaah
Rang tera, yun laaga,
Mehka har ang laaga,
Mehka main,
Behka main,
Jaane kahaan
Tujh ko jo paaya,
Khud ko main khoya