Mera Geet
Aao tumko kahani sunau
Ek banda tha khudpe hee karta tha vyang
Dil me tha bojh haath me kaagaz kalam
Kehne ko tha bada pyara sa vo
Sabki parshani jo sunta tha vo
Par kuch bhi kabhi khud na kehta tha vo
Khud me simat ke rehne ki aadat thi
Chodho paagal tha vo
Kamre me band ghup andhera
Sabka hai saath magar mai na hu lera
Tooti mariyada aur ankhon ka ghera
Duniya ke moh me na hai mujhko rehna
Khule zakham maine kitne chupaye
Khudke bharam maine khud hee mitaye
Hamesha tha sunta mai sabki kahaniya
Aaj mera geet meri sunaye
Bohoto ne poocha kya itni umar me dekh liya tumne saara jahaan
Unke liye mujhko itna hee kehna
Jab khoya tha mai kya the tum wahan
Haan the tum wahan
Dar ka chakku the bhedte
Jisse darke mere rehte the sapne
Unn chaar logo ke bhes me
Par thes na mujhko ab lagti hai
Dil me bachi bas ab sardi hai
Bin maange jo saath hain dete
Ab sirf unki jagah dil me mere basti hai
Zindagi sasti hai pal me bik jaati hai
Shabdo ki kashti chalani bhi aati hai
Aag jalakar bujhani bhi aati hai
Rakhlo jahaaz meri naav hee kaafi hai
Sabki tareh mai bhi alag deewana hu
Mauke bina mai akele hee naacha hu
Jo maanjha patang kati banaye bas
Vahi wala mai maanjha hu
Maanga na maine bharosa unka
Jinko dene me aati hai maut
Chalo chalo chalo aage badho
Mai sheikhi me rakhta ni shauk
Mai mai karna mujhko tha na pasand
Par kab tak uthata ye kuchle vachan
Sabne tha bola ke bola bhi kar
Kaise batata ke chal rahi thi jang
Khud ke haal ka zikr na karna tha
Dar tha lagta mujhko bojh na banna
Fir bujhne lagi meri andar ki taakat
Chillaya aur bola mai abtak kya karra tha
Fir gaano ke nashe to aadat purani hai
Sargam bina uski rooh pehchani hai
Dhadkan hai badhti har gaane pe jaise
Gaana nahi koi lethal bimari hai
Chadta hai sagar to chadta dekhoge
Fat ti hai dharti to fat ta dekhoge
Duniya bhi jo khatam hone lage
Mujhe gaane lagakar naachta dekhoge
Jeena to bas ek numaish hai
Ek hee to bas meri khwaish hai
Dil me hum sabke jee jaye insaniyat
Shabdo ke zariye ye aazmaish hai
Ek din hum logo ke hote hain khaas
Faidey bina koi daalta nahi ghaas
Jhooti baatien jhoote vaadey
Girne par hote bas hum apne paas
Saada jeevan aur uchh vichaar
Hote to na hote lachaar
Par banna to sabko hee oocha hai
Na banne pe hoti hain baatien chaar
Abhadra aadatien kitni hai
Har achhi baat isme pisni hai
Jo bola ke abse mai badlunga sabko
Zindagi uski bikhri hai
Awara ho ya koi begana ho
Matlab nahi agar kamara ho
Par kaisa paisa aur kaisi izzat
Jab andar se vo besahara ho
Tum sochoge kehne se kya hoga
Gaano me likhne se kya hoga
Bas itni tamanna ke jab jab zoro ka dhakka lage
Inn baato ke zariye tum seh lena
Yaar tu milta nahi hai
Kehno ko saath magar dikhta nahi hai
Sorry bhai tumse mai karta hu pyar
Bas khudko smjhane ki ikcha nahi hai
Chehre pe jis din khamoshi thi
Andar hazaar sehlaab the
Hasa tha jis din bhi zyada uss raat
Kaagaz par utre angaar the
Raatien hain dekhi par kisne ni
Sooraj ke saath dhala kaun ni
Par subeh bhi raato ki yaad aaye
Aisa hona hota bilkul aam ni
Aur darte ho jis bhi andhere se tum
Waha ginta hu taare hazaar mai
Khareedi hai tumne khamoshi jahase
Mai bada hua uss bazaar me