Dashavatar

Aditya Prakash

Ye katha hai dashavatar ki
Katha papiyo ke sanghar ki
Parakram ki parmarth ki
Sanchalak ki sanchar ki
Katha ye Shri Vishnu ji ke
Har roop aur akar ki
Jano jab jab paap badha to
kaise Kasht miti sansaar ki

Ye katha hai dashavatar ki
Katha papiyo ke sanghar ki
Parakram ki parmarth ki
Sanchalak ki sanchar ki
Katha ye Shri Vishnu ji ke
Har roop aur akar ki
Jano jab jab paap badha to
kaise Kasht miti sansaar ki

Badhta Raja Manu ka ahankar
To Matsya roop pehla avatar
Rakh na paye kahi bhi rajan
Matsya ka Badhta gaya akar
Aayi pralay to matsya roop me
Sabko karaya pralay paar

Manthan me jo dooba mandar
To dooja roop Kurma avatar
Utha liya parvat ka bojh
Aur Kara diya manthan sakar

Hiranyakashya ka hua prakop
Le gaya dharti paatal lok
Tab Varaha roop me aye prabhu
Ma dharti ko the bachaye prabhu

Fir Hiranyakashipu ata hai
Bhakto ki bali cadhata hai
Tab aye prabhu khambhe ko phar
Chautha roop Narasimha avatar

Bali ne indra ko hara diya
Teeno loko ko dara diya
Vaman roop me akr
Teen pag bhumi daan swaroop liya
Ek dharti duje me swarg chua
Pag teesra prabhu rakhe kaha?
Bali ne apne seesh diya aur bole prabhu pag rakhe yahan.

Hai chathe cheeranjivi, aur naam
Jai bhagwan Parshuram
Bhare rakt se panch talab
Mita diya kshatriyo ke naam

Agla priye sabhi ko naam
Mariyada Purshotam Ram
Kar ke vishal samandar paar
Kar diya Ravaan ka sanghar

Madhur vachan manmohak roop
Asht avtar, Shri Krishna roop
Kans ke papo ka ant kiye
Aur gyan diye Gita swaroop.

Jab dev gaye asuro se haar
Buddh roop nauma avatar
Buddham Sharanam Gacchami
Se gunj utha sara sansaar

Ant roop abhi baki hai
Kaliyug ki abhi to jhaki hai
Jab paap krega charam ko paar
Tb ayenge Kalki avataar
Khatam krenge is kaliyug ko
Har peedha ko aur har dukh ko
Bhay hoga na bharam hoga
Wapas se shresth dharam hoga

Ye katha hai dashavatar ki
Katha papiyo ke sanghar ki
Parakram ki parmarth ki
Sanchalak ki sanchar ki
Katha ye Shri Vishnu ji ke
Har roop aur akar ki
Jano jab jab paap badha to
kaise Kasht miti sansaar ki

Ye katha hai dashavatar ki
Katha papiyo ke sanghar ki
Parakram ki parmarth ki
Sanchalak ki sanchar ki
Katha ye Shri Vishnu ji ke
Har roop aur akar ki
Jano jab jab paap badha to
kaise Kasht miti sansaar ki

Curiosidades sobre a música Dashavatar de AP

De quem é a composição da música “Dashavatar” de AP?
A música “Dashavatar” de AP foi composta por Aditya Prakash.

Músicas mais populares de AP

Outros artistas de French rap