Sham Samay

M.Mehmood Malik

Subha saweray ko chaltay kidhr
Suraj charhe to shuru ho safar
Aagaz e din se ghurub ki janib
Rızq o muaash ki fiqr jidhar

Aksar ye baten kitabi lagay
Har dosray Shaks main kharabi lagay
Wehm o khayal hi kafi lagen
Dour e hazir main hasrat jo havi lagay

Kya ho ga Jo ham na rahen
Kya ho ga Jo raton ko neenden miten
Kya ho ga Jo koi na Sunay
Sisaktay lamhon ki pechedgi pe

Kya ho ga Jo ghum na rahen
To kese khushi ko ham samajh Saken
Kya ho ga Phir sham samay
Waqt simat kar kahay

Sham samay din dhalnay lagay
Mayoosiyan aur fiqren barhen
Sham samay din dhalnay lagay
Andhera Jese yun charhne lagay
Sham samay din dhalnay lagay
Taron ki chadar shehr ko dhakay
Yun .......... Phir yun

Raat bhar kyun sochta hun mein
Khud me kitna gumshuda hun mein
Kyun hun Khud se ikhtelaf main
Dhoka khudse aeteraf ha

Roz guzre jo ye sham ha
Sham ke jo bad raat ha
Raat ki ye roz bat ha
Roz tanha bad mizaaj mein

Kyun kabhi Mainny ye Socha na tha
Rab ko kabhi khush tha na kiya
Duniya ke peechay para raha
Taba huwa

Sham samay din dhalnay lagay
Mayoosiyan aur fiqren barhen
Sham samay din dhalnay lagay
Andhera Jese yun charhne lagay
Sham samay din dhalnay lagay
Taron ki chadar shehr ko dhakay
Yun .......... Phir yun

Músicas mais populares de mmm(cv.佐藤拓也、cv.白井悠介、cv.土岐隼一)

Outros artistas de Electro rock