Aashiq Bulleya (feat. Behzad Khan)
Zindagi anjaan huwi
Tujhse bichra to badnaam huwi
Meri sans mein tu nahi Phir kyun
Tere nam huwi
Bulleya kya mein hun aashiq
Bulleya kya mein hun fasiq
Bulleya kya mein hun qazi
Kese karon Tujh ko mein razi
Bulleya kya mein hun aashiq
Bulleya kya mein hun fasiq
Bulleya kya mein hun qazi
Kese karon Tujh ko mein razi
Ishq e majazi nai haqeeqi mein chupi hidayat
18 ki Umer mein Khud ki Mainny ki Himayat
Zindagi ki reel mein Maalik Tera sahara chaha
Logon ko bas dikhta zahiri chamka pehnava
Andr ki behali say tu wakif ha tu Ilm ha
Tu laa shareek deta tabyat ko hilm ha
Mein graduate idara Urdu rap mera
Lyrics hen sanad meri shayari unwaan mera
Par nai ghuman mera k tu kitna qadir ha
Lakh gunahgaar Phir bhi rehmat Teri hazir ha
Huzur zara ghor karen zok se mukhatib hun
Sun leta sabki lekin karta apnay mutabiq hun
Amal se Saabit hun mein koshish hun mein kafi hun
Khwaahishon mein khwaahish ye k maalik rehna razi tu
Teri ata se hun mukammal gawah takseem
Meri khata se ha munawar gunah rakeen
Ahl e dil pe nazil app ka zikr huwa
Ahl e ilm ko lazim karna fiqr huwa
Shifa Teri haya mein rab nawazay ashana
Dhuwan meri hawa mein par phonkne ka sans na
Teri tasveeron mein dhundta hun khudko
Sab ajnabi chehre hn lagtay mujhko
Aas pas tu ha tassavur mein
Phir kyun nahi tu muqadar mein
Bulleya kya mein hun aashiq
Bulleya kya mein hun fasiq
Bulleya kya mein hun qazi
Kese karon Tujh ko mein razi
Teri hi yadon mein rehta hun
Khudse Jo baten mein kehta hun
Loutaon mille dard tujhay bana Kay geet
Mitadon masnuyi ye riwaj o reet
Us rab ne bhi kya khoob ha banayi ye wafa
Chahe badalde sang e dil ya aab o hawa
Bhartay rahay apnay warqon mein ham khata
Tab hi to yun zindagi mein huway laapata
Jaanaa
Rul bethay kaha Jo dil ka mana
Kaahaan
Manzil mille jab nahi ha jana
Karta Jo baten mein yun
Kuch adhura pan sa ha kyun
Mujhme mein ha mushtamil tu
Har din kyun aakhir Khud se laron
Bikhra para ha tere ghr main Tera Wajood
Bekaar mehfilon main tujhay dhundta hun mein
Sadma to ha mujhay bhi k Tujh se juda hun mein
Lekin ye sochta hun o ab Tera kya hun mein
Bulleya kya mein hun aashiq
Bulleya kya mein hun fasiq
Bulleya kya mein hun qazi
Kese karon Tujh ko mein razi