Life Goes On

Instagram delete mene kar dia
Tha pichle haftay
Sukoon nahi milta shayad kat jau
Me ab in sabsay
Han jabsay paida hua tab se hee me dheet hun
Aja meri jaan tujhe saari apni cheez du
Ye rakh tu paise tujhe
Zaroorat pe kaam ayenge
Ye leja gaari tere dost tujhe maan jayenge
Ye rakh mobile agar iphone ka shauk tujhe
Ye 4 gaali de ke samjhte hai khauf mujhe
Badle me maangu me bas rishta itna pakka ke
Kal koi anjaan mujhe sarak pe bhi dhakka de
Tu us ko 2 de or bol yaha se chalta ban
Aisе rishto se to mera kabhi
Bhi nahi bharta man
Nahi bharta man agar rishto me yе paisa na ho
Warna majbooran shayad kal ko
Kabhi aisa na ho
Mujhe giraane ke hee kal ko tujhe laakh mile
Tujhe yaha daag mujhe asmaan me baag mile
Pehle insaan bike phir yaha emaan bike
Kagaz pe mene poori industry ke daam likhe
Wo mujhe bole kuch nahi hona tera industry me
One of the finest me kyun
Unhe mera naam dikhe
Organisers phone kare event karana hai
Mera kaam tumhe sirf paise batana hai
Baaki event ke ye saare
Laanjhe teri zimedaari hai
Me paise kum nahi karta to ye
Kehte is ke bhaari hai
Bhaari to honge chote kala
Koi mazaak nahi hai
Artist ke lie saala budget in
Ke paas nahi hai
Han aleem bhai chale 20-25 me done karte hai
Samjh meri jaan mujhe 30-35
Bhi kum partay hai
Samjh raha hai na ye mera dhanda nahi hai
Par art se paise na kamau ye jamta nahi hai
Wo pooche sab se kyun tum itna door rehte ho
Kyun ke meri tarah koi bhi
Khule man ka nahi hai
Dhool ke peeche bhaaga bechaniyo
Me raate jaaga apno se lar ke aksar band
Kamro me gaane gaata
Rishto me pyaar nahi dekha mene bharam ziada
Raate ghar se bahir to phir
Khaana kese garam khaata?
Tu mujhe samjh paata agar hota meri jaga
Bharam ke chakkar me tu itni
Bhi mat dairi karna
Ke Kal ko maut ae or maang
Na pae maafi tu aja
Mere gale lag me ab bhi tere paas hee hu
Ye teri whack deals ke lie me raazi nahi hu
Me poora khel koi choti moti baazi nahi hu
Tu acha rapper hai bhai tu
Mujh se behtar hai bhai
Par ungli mat utha mere pe tera maazi nahi hu
Ab kitna batau ke me thak chuka!
Anginat saro pe hath rakh chuka
Nahi hoti mujh se ye behesbaazi
Mere dil se ziada mera sar dukha
Mat aa ke maang mujh se maafiyaaan
Mere Dil me jo tha mene gaa diyaaaaa
Bhai hai to bhai ban ke rehna bhai
Kyun bharte har baat pe tum haamiyan
Mujhe chal jaata hai pata kon chaat raha hai
Mera mushkilo se rishta ghaat ghaat ka hai
Tu ne zindagi me jeene ke
Tareeqe to hai seekhe
Par saleeko se kyun rakha itna faasla hai?
Likha jaega ziada i suggest
You mere Peechay bol
1 hee jeeta hum me se hum
Sab kab mil ke jeetay bol?
Kuch na kuch to seekhega hee
Jitni meri geetay khol ana haari junge to me
Seekha bolna Meethay bol
Seedhe bol ke tu fan nahi hai mera
Tu message karta hai taake
Gaana share kardu tera
Agar fan hota mera to na
Faide ke lie cheekhta
Talent meri jaan nahi mohtaaj kisi bheek ka
Gaano se nahi matlab inhe
Matlab mere views se
2-3 hazaar hote to ye ghanta bhi nahi poochte
Bante mere aage jese dhule hue doodh se
Mera ek hee khuda tum insaano ko kyun poojte?
Roz khushi baant ke roz zamaane se rooth’te
Audios se khauf to kiya hoga videoshoot pe?
Jitna bhi lamba ho hum sar pe tere kood de
Marzi ke malik apan chalte apne mood pe!

Curiosidades sobre a música Life Goes On de Aleemrk

Quando a música “Life Goes On” foi lançada por Aleemrk?
A música Life Goes On foi lançada em 2021, no álbum “Life Goes On”.

Músicas mais populares de Aleemrk

Outros artistas de Asiatic music